Monday, October 26, 2009

Hi,
this is not my creation....But a awesome creation my Friend:

Chashme ke p iche se jhaakhti teri aankhein,
Khamosh si rehti hai par, bahut kuch kehti teri aankhein;
Sadiyon ke andhere mein kuch dhundta raha,
Ab jaake mili hai lambe intejaar ke baad,
is andhere mein khushiyo ki roshni dikhati hui
teri aankhein;
Jindagi ka sahara jisme dikha, jismein mein mai dubna chahta hu,
samandar se bhi jyada gehri hai teri yeh aankhein;

Chashmein ke piche se jhaakti,
khamosh si rehti par bahut kuch kehti teri aankhein;
Dunia ki bewafai se aur is bheed ki tanhaiyo se ab ub chuka hu,
Par pyaar aur wafa ki roshni jismein dikhi hai,
Aur ab jindagi bhar jise dekhna chata hu woh hai teri yehi aankhein;

Kuch din pehle jo ajnabi thi, Aur kuch din pehle tak jo ajnabi thi,
aur ab lagta hai ki kai janmo se pehchanta hu jinhe,
wohi hai teri yeh pyaari si aankhein;
Bas yu hi kuch dinon se jinhe dekh kar kuch kehna
chahta tha aur ab keh diya hai jo hai mere man mein,
Jinmein jindagi bhar ke liye doobna chahta hu,
Jadoo jagati hui, mujhe bulati hui. . .
bahut hi gehri teri yeh aankhein.

Amit

No comments: